Eak nazm likhi thi valentines day pey socha aap dosto'n key saath share kar loon. Umeed aap logon ko pasand aaye gi.
Valentines day
Aaj ki shab to meri jaan hai pyar ki shab
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Aaj honto’n ko aye sanam chup rahene do
In labo’n sey na lafzon ko tum bahene do
Aaj to dil sey hai dil ke iqrar ka din
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Mahak rahi hai aaj to fiza mohabat sey
Chamak raha hai har ek zara mohabat sey
Dil key chamman mein hai aaj to bahar ka din
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Dil karta hai yunhi paas terey bheta rahoon
Bheta ke samne tujh ko mein faqt dekhta rahoon
Hai mulakat ka, yeh to hai deedar ka din
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Apni ankhon sey sara haal biya’n kar doon aaj
Key hein jitney bhi wo sawwal biya’n kar doon aaj
Bhekey jazbo’n ka hai aaj to izhar ka din
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Aaj phaeli hui baho’n mein simet aao tum
Kissi barsh ki tarah mujh pey bars jao tum
Rahe na hosh kutch aaj hai khumar ka din
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Yeh teri mang mein saja doon chaand taro’n sey
Tere daman ko bhi mein bhar doon in bahron sey
Husn to chahat pey hai aaj to nikhar ka din
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Nafrato’n ko chalo dil sey yun mita dey hum
Dharkano’n mein diye pyar key jala dey hum
Pyar ki jeet ka hai nafrato’n ki haar ka din
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din
Aaj ki shab to meri jaan hai pyar ki shab
Aaj ka din to meri jaan hai pyar ka din






